Gosha-e-zehan mai
bay rubt khialo’n kay hujoom
Chusm-e-tenhai say chun ker
wohi bay naam say ashk
Lamha-e-wasl kay us
aihad-e faramoshi ko
yaad kerta hai,
sisakta hai,
bilakta hai buhat
Aaj bhi dasht-e-musafat kay
Khatin rasto’n main,
jalti bhujti wohi
bay-naam rafaqat ki shuu’aa…..
Aariz-e-waqt ki surkhi
pay chalak perti hai,
Phir say milnay ki yah mohoom
talab aur tarap,
aaj bhi zehan kay gosho’n
mai chamak uth’ti hai.
Aaj bhi soch kay
angaar jazeeray main too,
Aankh kay noor mai too,
Dil kay sawairay main too,
Ajnabi shaam ki dum torti
barsaat mai too,
Hai lakeero’n ki terha sabt
meray haath mai too,
Meray hontoo’n ka tabassum,
Meray din raat main too
Hum kalaami ka koi waqiyaa
guzraa bhi nhi…………
phir bhi lagta hai kay
mojood hai her baat main too,
Mujh say waqif hi nhi teri tabyat lekin
Terz-e-inkaar main too,
Shewa-e-guftaar main too,
Too hi too hai meray atraaf ki
her shay main nihaa’n
Kabhi iqraar ka hasil
Kabhi inkaar main too,
Kabhi saaya………,
Kabhi sehra…........
Kabhi nazroo’n ka saraab
Kabhi shabnam…………,
Kabhi nighat…………..,
Kabhi rung-o-khushboo
Too meri neend,Mera khuwaab,
Meri subh-o-shaam,
Too musarrat,Too mera dukh,
Too mera sub kuch hai…!!
Too mera kuch bhi nhi’n….
Phir bhi mera sub kuch hai..
Too mera kuch bhi nhi’n….
Phir bhi Mera sub kuch hai………..!!!!!
No comments:
Post a Comment