Tuesday, February 1, 2011


Woh Baat Baat Mein Itna Badalta Jaata Hai,
Keh Jis Tarhaan Koi Wada Badalta Jaata Hai,

Yeh Arzoo Thi Keh Hum Us Kay Sath Sath Challain,
Magar Woh Shakhas Tu Rasta Badalta Jata Hai,

Jo Taiz Dhoop Mein Sar Par Raha Wohi Anchal,
Hawa Chali Hai Tu Kitna Badalta Jata Hai,

Ruttain Visaal Ki Aab Khawb Honay Wali Hein,
Keh Us Ki Baat Ka Lehja Badalta Jaata Hai,

Woh Baat Kar Jisay Duniya Bhi Moatbar Samjhay,
Tujhay Khabar Zamana Badalta Jaata Hai,

Yeh Arzoo Thi Keh Hum Uss Kay Sath Sath Chalain,
Magar Woh Shakhas Tu Raasta Badalta Jata Hai..!!

Monday, January 31, 2011


Gosha-e-zehan mai
bay rubt khialo’n kay hujoom
Chusm-e-tenhai say chun ker
wohi bay naam say ashk
Lamha-e-wasl kay us
aihad-e faramoshi ko
yaad kerta hai,
sisakta hai,
bilakta hai buhat
Aaj bhi dasht-e-musafat kay
Khatin rasto’n main,
jalti bhujti wohi
bay-naam rafaqat ki shuu’aa…..
Aariz-e-waqt ki surkhi
pay chalak perti hai,
Phir say milnay ki yah mohoom
talab aur tarap,
aaj bhi zehan kay gosho’n
mai chamak uth’ti hai.

Aaj bhi soch kay
angaar jazeeray main too,
Aankh kay noor mai too,
Dil kay sawairay main too,
Ajnabi shaam ki dum torti
barsaat mai too,
Hai lakeero’n ki terha sabt
meray haath mai too,
Meray hontoo’n ka tabassum,
Meray din raat main too

Hum kalaami ka koi waqiyaa
guzraa bhi nhi…………
phir bhi lagta hai kay
mojood hai her baat main too,
Mujh say waqif hi nhi teri tabyat lekin
Terz-e-inkaar main too,
Shewa-e-guftaar main too,
Too hi too hai meray atraaf ki
her shay main nihaa’n
Kabhi iqraar ka hasil
Kabhi inkaar main too,
Kabhi saaya………,
Kabhi sehra…........
Kabhi nazroo’n ka saraab
Kabhi shabnam…………,
Kabhi nighat…………..,
Kabhi rung-o-khushboo

Too meri neend,Mera khuwaab,
Meri subh-o-shaam,
Too musarrat,Too mera dukh,
Too mera sub kuch hai…!!
Too mera kuch bhi nhi’n….
Phir bhi mera sub kuch hai..

Too mera kuch bhi nhi’n….
Phir bhi Mera sub kuch hai………..!!!!!



Samandar Pochta Hay 
Ab wo Dono Kiun Nahi Aatay ..?

wohi dono ...jo bhegi rait per 
ik dosray ka hath thamay dor tak 

kabhi hanstay ..kabhi kuch gungunatay 
ya kabhi chup chaap bethey ....
door ufaq ki goud mein 
roposh honay wala suraj dekhtay ... 

Aur Aanso Bahatay Lout jatay Thay !

Samandr pochta hay 
ab wo dono kiun nahi aatay !

jo aatay thay to apnay sath 
kitnay khuwab latay thay ...

kabhi sahil say dheyron seepiyan chuntay thay ...
nangay paaon paani mein chalay aatay thay .... 

bhegi rait say nanHay gharonday bhe banatay thay ..!
aur un mein seepiyan rangee'n see
kuch sangrezay ..

yoon sajatay thay .... 
K jesay aaj k jugno say lamhay 
aanay walay kal ki mutthi mein chupatay thay ...



Samandr pochta hay 
ab wo dono kiun nahi aatay !

magr samandar ne 
khizaa'n ki siskiyan leti hoi 
ik shaam ko 

us nujawan ko nahi dekha ...jo deir talak 
sar E sahil ........raha betha 

phir us ne dheir saray khatt 
bohat say sokhay phool ...
or tasveerain ... 

Or Apnay Aakhri Aanso ....
Samandar K Hawalay Ker Diye Thay ...!!!

Samandar Pochta Hay 
Ab wo Dono Kiun Nahi Aatay !!

Sunday, January 30, 2011


Teri yadoon ki mehak,
Sath liyay aksar hum ,
Door khwabon kay jazeeray main utar jatay hain,
Kyun kay main janta hon,
Hum aur tum
Sirf khwabon main hi mil saktay hain,
Mainay socha hai is baar tumharay humraah,
Aik aisi jaga utroonga,
Aur tumhain apnay paas bitha ker,
Aankhon main aakhain daal ker,
Bari himmat ker kay tum say keh donga,
Tumsay keh donga kay tum meri ho
Tum jo chahho to,
Meri yaktarfa mohabbat ko sahara day do,
Zindagi youn to bohat thori hai mohabbat kay liyay
Tum jitna bhi pyar mujhay day sako sara day do,
Kuch to bolo,
Kuch to bolo
Kahin aisa na ho kay sehar hotey hi hum wapis us dunya main lout jain
Bus yehi chund khayalaat liyay
Teri yadoon ki mehak sath liyay
Akser hum door khwabon kay jazeray main utar jatey hian
Kyun kay hum aur tum sirf khwabon main hi mil saktay hain..!!



jo utar ke zeena-e-shaam se teri chashm-e-Khush mein sama gaye
wohi jaltey bujhtey se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye

yeh ajeeb khail hay ishq ka main ney aap dekhaa yeh mojza
woh jo lafz meray gumaan mein thay woh teri zubaan par aa gaye

woh jo geet tum ne suna nahin meri umar bhar kaa riyaz tha
meray dard ki thi woh daastaan jisey tum hansii mein ura gaye

woh chiragh-e-jan kabhi jis ki low na kisi hawa se nigoon hui
teri bewafai key wasvsay usey chupke chupke bujhaa gaye

woh tha chand shaam-e-visaal kaa ke thaa roop terey jamal ka
meri rooh sey meri aankh tak kisi roshni mein naha gaye

ye jo bandagaan-e-niyaaz hain ye tamaam hai voh lashkari
jinhein zindagii ne aman na di to tere huzoor mein aa gaye

teri berukhi key dayaar mein main havaa ke saath havaa huaa
tere aainey ki talaash mein merey Khwaab chehra ganva gaye

tere wasvason ke fishar mein tera shehar-e-rang ujar gaya
meri khwahishon ke ghubaar mein meray maah-o-saal-e-vafaa gaye

woh ajeeb phool sey lafz thay tere honth jin se mahak uthe
mere dasht-e-Khwab mein door tak koi bagh jaisey lagaa gaye

meri umer sey na simat sakey meray dil mein itney sawal thay
teray paas jitney jawaab thay meri eik nigaah mein aa gaye..!!




kon rok sakta hai..??

lakh zabt-e-khawahish k

be-shumaar iraady hon

usko bhool janay k

be-panah iraady hon

aur is muhabbat ko tark ker k jeenay ka

faisla sunanay ko

kitney lafz sochain hon

dil ko us ki aahat per

bermala dharaknay se kon rok sakta hai

phir wafa k sehra me

us k narm lehjy aur sogwaar aankhon ki

khushbu'on ko chhunay ki

justjoo me rehnay se

rooh tak pighalney se

nangay paaun chalney se

kon rok sakta hai

ansoun ki barish me

chahay dil k hathon main

hijar k musafir k

paaun tak bhi chhoo aaun

jis ko lot jana ho

usko door janay se

raasta badalnay se

door ja nikalnay se

kon rok sakta hai..!$!


Thursday, January 27, 2011


Ye jo chara-gar hamare

Koi saath-e-rafaqat..

Sar-e-sham mangte they..

Inhen kya khaber k humne..

Tumhen sounp di hain rateN.. 

Tumhen daan ki hain ankheN..

Kbi tumne yeh bhi soocha..

K tumhare dil-grifta..

Pas-e-bam-o-dar akeley..

Kisi shama sokhta se..

Ye jo ker rahe hain baten..

Tumhen kitna chahte hain..

Tmhen roz-o-shab k dukh main..

Kbi bhoolna b chaheN..

Tou kabhi na bhool payeN..

K ye ehd-e-zindgi hai..

Jisy torna b chaheN.. 

Tou kabhi na tor payeN..!$!