abhi kya kahain abhi kya sunain
ke sar-e-faseel-e-sakout-e-jan
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa
wo jo harf harf charag tha
use kis hawa ne bujha diya
kabhi lab hilenge to puchna
sar-e-shehar-e-ahad-e-wisal-e-dil
wo jo nikhaton ka hajoum tha
use dast-e-mauj-e-firaq ne
tah-e-khak kab se mila diya
kabhi gul khilenge to puchna
abhi kya kahain abhi kya sunayen
yun hi khwahishon k fishar main
kabhi be-sabab kabhi be-khalal
kahan kaun kis se bichar gaya
kise kis ne kaise ganwa diya
kabhi phir milenge to puchna..!!
No comments:
Post a Comment