Tuesday, February 1, 2011


Woh Baat Baat Mein Itna Badalta Jaata Hai,
Keh Jis Tarhaan Koi Wada Badalta Jaata Hai,

Yeh Arzoo Thi Keh Hum Us Kay Sath Sath Challain,
Magar Woh Shakhas Tu Rasta Badalta Jata Hai,

Jo Taiz Dhoop Mein Sar Par Raha Wohi Anchal,
Hawa Chali Hai Tu Kitna Badalta Jata Hai,

Ruttain Visaal Ki Aab Khawb Honay Wali Hein,
Keh Us Ki Baat Ka Lehja Badalta Jaata Hai,

Woh Baat Kar Jisay Duniya Bhi Moatbar Samjhay,
Tujhay Khabar Zamana Badalta Jaata Hai,

Yeh Arzoo Thi Keh Hum Uss Kay Sath Sath Chalain,
Magar Woh Shakhas Tu Raasta Badalta Jata Hai..!!

Monday, January 31, 2011


Gosha-e-zehan mai
bay rubt khialo’n kay hujoom
Chusm-e-tenhai say chun ker
wohi bay naam say ashk
Lamha-e-wasl kay us
aihad-e faramoshi ko
yaad kerta hai,
sisakta hai,
bilakta hai buhat
Aaj bhi dasht-e-musafat kay
Khatin rasto’n main,
jalti bhujti wohi
bay-naam rafaqat ki shuu’aa…..
Aariz-e-waqt ki surkhi
pay chalak perti hai,
Phir say milnay ki yah mohoom
talab aur tarap,
aaj bhi zehan kay gosho’n
mai chamak uth’ti hai.

Aaj bhi soch kay
angaar jazeeray main too,
Aankh kay noor mai too,
Dil kay sawairay main too,
Ajnabi shaam ki dum torti
barsaat mai too,
Hai lakeero’n ki terha sabt
meray haath mai too,
Meray hontoo’n ka tabassum,
Meray din raat main too

Hum kalaami ka koi waqiyaa
guzraa bhi nhi…………
phir bhi lagta hai kay
mojood hai her baat main too,
Mujh say waqif hi nhi teri tabyat lekin
Terz-e-inkaar main too,
Shewa-e-guftaar main too,
Too hi too hai meray atraaf ki
her shay main nihaa’n
Kabhi iqraar ka hasil
Kabhi inkaar main too,
Kabhi saaya………,
Kabhi sehra…........
Kabhi nazroo’n ka saraab
Kabhi shabnam…………,
Kabhi nighat…………..,
Kabhi rung-o-khushboo

Too meri neend,Mera khuwaab,
Meri subh-o-shaam,
Too musarrat,Too mera dukh,
Too mera sub kuch hai…!!
Too mera kuch bhi nhi’n….
Phir bhi mera sub kuch hai..

Too mera kuch bhi nhi’n….
Phir bhi Mera sub kuch hai………..!!!!!



Samandar Pochta Hay 
Ab wo Dono Kiun Nahi Aatay ..?

wohi dono ...jo bhegi rait per 
ik dosray ka hath thamay dor tak 

kabhi hanstay ..kabhi kuch gungunatay 
ya kabhi chup chaap bethey ....
door ufaq ki goud mein 
roposh honay wala suraj dekhtay ... 

Aur Aanso Bahatay Lout jatay Thay !

Samandr pochta hay 
ab wo dono kiun nahi aatay !

jo aatay thay to apnay sath 
kitnay khuwab latay thay ...

kabhi sahil say dheyron seepiyan chuntay thay ...
nangay paaon paani mein chalay aatay thay .... 

bhegi rait say nanHay gharonday bhe banatay thay ..!
aur un mein seepiyan rangee'n see
kuch sangrezay ..

yoon sajatay thay .... 
K jesay aaj k jugno say lamhay 
aanay walay kal ki mutthi mein chupatay thay ...



Samandr pochta hay 
ab wo dono kiun nahi aatay !

magr samandar ne 
khizaa'n ki siskiyan leti hoi 
ik shaam ko 

us nujawan ko nahi dekha ...jo deir talak 
sar E sahil ........raha betha 

phir us ne dheir saray khatt 
bohat say sokhay phool ...
or tasveerain ... 

Or Apnay Aakhri Aanso ....
Samandar K Hawalay Ker Diye Thay ...!!!

Samandar Pochta Hay 
Ab wo Dono Kiun Nahi Aatay !!

Sunday, January 30, 2011


Teri yadoon ki mehak,
Sath liyay aksar hum ,
Door khwabon kay jazeeray main utar jatay hain,
Kyun kay main janta hon,
Hum aur tum
Sirf khwabon main hi mil saktay hain,
Mainay socha hai is baar tumharay humraah,
Aik aisi jaga utroonga,
Aur tumhain apnay paas bitha ker,
Aankhon main aakhain daal ker,
Bari himmat ker kay tum say keh donga,
Tumsay keh donga kay tum meri ho
Tum jo chahho to,
Meri yaktarfa mohabbat ko sahara day do,
Zindagi youn to bohat thori hai mohabbat kay liyay
Tum jitna bhi pyar mujhay day sako sara day do,
Kuch to bolo,
Kuch to bolo
Kahin aisa na ho kay sehar hotey hi hum wapis us dunya main lout jain
Bus yehi chund khayalaat liyay
Teri yadoon ki mehak sath liyay
Akser hum door khwabon kay jazeray main utar jatey hian
Kyun kay hum aur tum sirf khwabon main hi mil saktay hain..!!



jo utar ke zeena-e-shaam se teri chashm-e-Khush mein sama gaye
wohi jaltey bujhtey se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye

yeh ajeeb khail hay ishq ka main ney aap dekhaa yeh mojza
woh jo lafz meray gumaan mein thay woh teri zubaan par aa gaye

woh jo geet tum ne suna nahin meri umar bhar kaa riyaz tha
meray dard ki thi woh daastaan jisey tum hansii mein ura gaye

woh chiragh-e-jan kabhi jis ki low na kisi hawa se nigoon hui
teri bewafai key wasvsay usey chupke chupke bujhaa gaye

woh tha chand shaam-e-visaal kaa ke thaa roop terey jamal ka
meri rooh sey meri aankh tak kisi roshni mein naha gaye

ye jo bandagaan-e-niyaaz hain ye tamaam hai voh lashkari
jinhein zindagii ne aman na di to tere huzoor mein aa gaye

teri berukhi key dayaar mein main havaa ke saath havaa huaa
tere aainey ki talaash mein merey Khwaab chehra ganva gaye

tere wasvason ke fishar mein tera shehar-e-rang ujar gaya
meri khwahishon ke ghubaar mein meray maah-o-saal-e-vafaa gaye

woh ajeeb phool sey lafz thay tere honth jin se mahak uthe
mere dasht-e-Khwab mein door tak koi bagh jaisey lagaa gaye

meri umer sey na simat sakey meray dil mein itney sawal thay
teray paas jitney jawaab thay meri eik nigaah mein aa gaye..!!




kon rok sakta hai..??

lakh zabt-e-khawahish k

be-shumaar iraady hon

usko bhool janay k

be-panah iraady hon

aur is muhabbat ko tark ker k jeenay ka

faisla sunanay ko

kitney lafz sochain hon

dil ko us ki aahat per

bermala dharaknay se kon rok sakta hai

phir wafa k sehra me

us k narm lehjy aur sogwaar aankhon ki

khushbu'on ko chhunay ki

justjoo me rehnay se

rooh tak pighalney se

nangay paaun chalney se

kon rok sakta hai

ansoun ki barish me

chahay dil k hathon main

hijar k musafir k

paaun tak bhi chhoo aaun

jis ko lot jana ho

usko door janay se

raasta badalnay se

door ja nikalnay se

kon rok sakta hai..!$!


Thursday, January 27, 2011


Ye jo chara-gar hamare

Koi saath-e-rafaqat..

Sar-e-sham mangte they..

Inhen kya khaber k humne..

Tumhen sounp di hain rateN.. 

Tumhen daan ki hain ankheN..

Kbi tumne yeh bhi soocha..

K tumhare dil-grifta..

Pas-e-bam-o-dar akeley..

Kisi shama sokhta se..

Ye jo ker rahe hain baten..

Tumhen kitna chahte hain..

Tmhen roz-o-shab k dukh main..

Kbi bhoolna b chaheN..

Tou kabhi na bhool payeN..

K ye ehd-e-zindgi hai..

Jisy torna b chaheN.. 

Tou kabhi na tor payeN..!$!



Koi mujhko aisi daleel deY..
K main toot kr, Tairay naqsh kO..
Ankh ki patlyon say mita sakooN..
Koi mujhko aisi daleel deY..
K main dil say phiR..
Tere umr bhar ki rfaqtoun ko bhula sakooN..
Koi mujhko aisi daleel deY..
K main umr bhaR..
Teri yaad ka koi jashan hi na mna sakooN..
Agar aisi koi sabeel hai tou phir aazmA..
Jo nahi tou phiR..
Mujhe yaad kr, mujhe yaad aA.!!





Tujhey Khabar Bhe Nahi
Keh Teri Udas Adhori
Mohabtoon ki Kahani
Jo BaRi Kshadah Dilli Say
Hans Hans Kay Sun Raha Thah
Woh Shakhs Teri Sadaqtoon Per Fariftah
Bawafa Sabat Qadam
Keh Jis Ki JabeeN Peh
Zalim RaqabtoN Ki Jalan Say
Koi Shakan Na Aai
Woh Zabt Ki Karbnak Shiddat Say
Khamosh,Chup Chap
Mar Gaya Hai ..!!


Wednesday, January 26, 2011



MOhabbatOun Ke Safar Mein kOii

jUdaiyOun Ka jO Lamha Aaye
tO ChahtOun Key Safeer lOgo
BiCharney WallOun Ko rOk lAina
wO Laakh tUm kO Naii RutOun Ke
HASeen Lamhien Bantien
jUdaiyOun Key Siyaah RaStOn Sey
WapSii Ka Sarab Baantien

TO Un Kii BaatOun
HaSeen WadOun Ka Dam Na Bharna
YaQeen Na Karna
Ke WaPsii Kii TaVeel mUSafatOun Sey Palat Key Aana
bOhet Kathin hAi

kOii Agar lOtna Chahey
tO Beetay LamhOun Kii Taiz Aandhii
Tamam VadOun Kii ROshnii Cheen Kar
AndhairOun Ko Baant-ti hai
Kisi Ki AankhOun Key ManzarOun Sey
Waffa RangOun Ke Khatam hOne Ka
KhOuf Bhi Dil Ko ROkta hAi
Aur Iss Tarah FaaSlOun Mein KhOye hOye Kabhi Bhi Nahi Palat-tey
jUdaiyOun Key RaaStOun Mein mUntazir lOg Apney Apney Diye jAlaye
Bas Eik RaStey Ko Dekhtey hAin
Naii RutOun Key HaSeen LamhOun Key
Khwaab AankhOun Mein tOot-tey hAin
BiCharney Waley jUdaii Key RastOun Mein Baithey
BiKhartey KhwabOun Ki KiRchiyOun Ko Samait-tey hAin

BiCharney Walo Agar Na tUm Ko YaQeen Aaye
tO Meri AankhOun Mein Raiza Raiza
BiKhartey KhwabOun Ko Dekh Laina
Jinhien ChahOn Samaitna Bhii tO Meray Bas Mein wO Ab Nahi hAi

TO Roshnii Key Safeer lOgo
BiCharney WallOn Ko rOk Laina..!!

Tuesday, January 25, 2011



Hum ne soch rakha hai

Chahey dil ki her khwahish

Zindagi ki ankhon se

Ashk ban k beh jaye

Ghar ki sari deewaareyn

chhatt sameyt gir jayen

Or be muqader hum

Is badenn k malbey mein

Khud hi kiun na dabb jayen

Tum se kuch nahi kehna




Kesi neend thi apni

Kesay khwaab thay apney

Or ab gulabon per

Neend wali aankhon per

Nerm-khoo se khwabon per

Kiun azaab tootey hein

Tum se kuch nahi kehna




Ghir gaye hein raton mein

Be libas baton mein

Is terha ki ruton mein

Kab charagh jaltey hein

Kab azaab taltey hein



Ab to in azaabon se

Bach k bhi nikalney ka

raasta nahi janaan !

Jis terha tumhein sach k

laazawaal lamhon se

Waasta nahi Janaan !

Hum ne soch rakha hai

Tum se kuch nahi kehna..!!



Wednesday, January 19, 2011



abhi kya kahain abhi kya sunain 
ke sar-e-faseel-e-sakout-e-jan 
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa 
wo jo harf harf charag tha 
use kis hawa ne bujha diya 

kabhi lab hilenge to puchna 


sar-e-shehar-e-ahad-e-wisal-e-dil 
wo jo nikhaton ka hajoum tha 
use dast-e-mauj-e-firaq ne 
tah-e-khak kab se mila diya 

kabhi gul khilenge to puchna 

abhi kya kahain abhi kya sunayen 
yun hi khwahishon k fishar main 
kabhi be-sabab kabhi be-khalal 
kahan kaun kis se bichar gaya 
kise kis ne kaise ganwa diya 

kabhi phir milenge to puchna..!!