Tuesday, January 25, 2011



Hum ne soch rakha hai

Chahey dil ki her khwahish

Zindagi ki ankhon se

Ashk ban k beh jaye

Ghar ki sari deewaareyn

chhatt sameyt gir jayen

Or be muqader hum

Is badenn k malbey mein

Khud hi kiun na dabb jayen

Tum se kuch nahi kehna




Kesi neend thi apni

Kesay khwaab thay apney

Or ab gulabon per

Neend wali aankhon per

Nerm-khoo se khwabon per

Kiun azaab tootey hein

Tum se kuch nahi kehna




Ghir gaye hein raton mein

Be libas baton mein

Is terha ki ruton mein

Kab charagh jaltey hein

Kab azaab taltey hein



Ab to in azaabon se

Bach k bhi nikalney ka

raasta nahi janaan !

Jis terha tumhein sach k

laazawaal lamhon se

Waasta nahi Janaan !

Hum ne soch rakha hai

Tum se kuch nahi kehna..!!



No comments:

Post a Comment