Sunday, January 30, 2011


Teri yadoon ki mehak,
Sath liyay aksar hum ,
Door khwabon kay jazeeray main utar jatay hain,
Kyun kay main janta hon,
Hum aur tum
Sirf khwabon main hi mil saktay hain,
Mainay socha hai is baar tumharay humraah,
Aik aisi jaga utroonga,
Aur tumhain apnay paas bitha ker,
Aankhon main aakhain daal ker,
Bari himmat ker kay tum say keh donga,
Tumsay keh donga kay tum meri ho
Tum jo chahho to,
Meri yaktarfa mohabbat ko sahara day do,
Zindagi youn to bohat thori hai mohabbat kay liyay
Tum jitna bhi pyar mujhay day sako sara day do,
Kuch to bolo,
Kuch to bolo
Kahin aisa na ho kay sehar hotey hi hum wapis us dunya main lout jain
Bus yehi chund khayalaat liyay
Teri yadoon ki mehak sath liyay
Akser hum door khwabon kay jazeray main utar jatey hian
Kyun kay hum aur tum sirf khwabon main hi mil saktay hain..!!


No comments:

Post a Comment